Saturday, 30 August 2014

Salaar Sikandar


Salaar Sikandar


" Tumhara naam kia hai ?"

"Pata nahin."

"Maa baap ne kia rakha tha?"

"Ye unhi se poochen."






Khamoshi ..

"Log kis naam se pukaartay hain tumhain?"

"Larkay ya larkiyan?"

"Larkay"

"Bohat saaray naam lete hain."

"Zida tar konsa naam pukaarty hain?"

"Daredevil."

Khamoshi ...

"Aur larkiyan ?"

"Woh bhi boht saaray naam leti hain."

"Ziada tar kis naam se pukaarti hain?"

"Yeh main nahin bata sakta. Its too personal."

Gehri khamoshi. 
Taweel saans... Phir khamoshi.

Chot




Uss ne zindagi main pehli baar chot khayii thi aur zindagi main pehli baar parnay wali chot toh baray baron ko rula deti hai.



Woh UNICEF ki team k sath chartered taiyaaron mai safar karte huay apni zindagi k baray mai sochta ..
Uss ne zindagi main aise kon se kaarnamay sar anjaam diye thay k usay woh pur-aasae'sh zindagi dee gayi thi jo woh guzaar raha tha.

Aur un logo se kia gunnah huay thay k woh zindagi ki tamam buniyaadi zaruriyaat se mehroom sirf zinda rehne ki khwahish mai khoraak k unn packets k peechay bhaagtay phirtay hain.


Thursday, 28 August 2014

Hum kia hain ?


" Hum kya hain

Hmari Muhabatain kya hain ?
kya chahtay hain ..
kya paatay hain.. "

-Umera Ahmad (Peer-e-Kamil) 

"Khwaahish toh Allah insaan ko woh day deta hai k Maujazon k ilawa koi cheez jisay poora kar hee nahin sakti."

-Peer e kamil-

Salaar ki Dua

Mein Nabi Hota to Nabiyon Jesi Dua kerta,
Magar mein to aam Bashar hun or Gunah-Gaar Bashar! 
Meri khawahishat, Meri Arzuain.. sab aam hain! 

Yahan kharay ho ker kabhi koi kisi Aurat k liye nai Roya hoga! Meri zilat or Pasti ki is se ziada inteha kya ho gi k mein yahan khara... Haram paak may khara, aik Aurat k liye Girgira raha hun! Aagar mujha naa apnay dil pe Ikhtiyar hai naa apnay Ansuon per! 

yeh mein nai tha jis ne us Aurat ko apnay dil may jagah di, 

yeh tu nay kiya!
kyun meray dil mai us aurat k liye itni muhabbat daal di k mein teray samnay khara bhi usko yaad ker raha hun? 
kyun mujhy is qadar baybus ker dia k mujhy apnay wujood per bhi koi Ikhtiyaar nai raha? 

Mein wo Bashar hun jisay tu ne In tamam kamzoriyon k sath banaya! 
Mein wo bashar hun jisay teray Siwa koi Raasta dhikhanay wala nahi or wo Aurat ... wo meri zindagi k her raastay pay khari hai! 
Mujhay kahin jaanay kahin pohonchnay nahi de rahi yaa to uski Muhabbat ko is tarah meray dil se nikaal de k mujhay kabhi uska khayal tak naa aye, ya phir usay mjhe day de!

Woh nahin milay gi to mein saari zindagi us k liye rota rahun gah! wo mil jaye gi to teray ilawa mein kisi k liye ansu nahi baha sakun gah! 
Meray ansuon ko khalis honay day! 


Mein yahan khara tujh say Paak Auraton may say aik ko mangta hun!
Mein Imama Hashim ko mangta hun..

Mein apni Nasal k liye us Aurat ko maangta hun jis nay aap k Paighambar  (S.A.W) ki muhabbat mai kisi ko shareek nai kia! jis nay un k liye apni zindagi ki tamam Asae'shaat ko chor dia! 

Ager meine apni zindagi may kbhi koi Naiki ki hai, to mujhay us k iwiz Imama Hashim da da! 
Tu chahay to yeh ab bhi ho skta hai! ab bhi mumkin hai! 

Mujhay is Azmae'sh se nikaal da..
Meri zindagi ko asaan ker da..
Aath saal se mein jis takleef may hun, mujhay is se Rihaee day de.

Salaar Sikandar per aik baar phir Reham ker, wohi jo teri sifaat may Afzal Tareen hai..

-Umera Ahmad- Peer e kamil.

Waada


"Mujhay tum se kitni muhabbat ho gi ye main nahin jaanti. 
Dil par mera akhtiyaar nahin hai.
Magar mai jitni zindagi tumhare sath guzaarun gi, Tumhari wafadaar or farman-bardaar rahoon gi.
Yeh mere Akhtiyaar main hai. 
Main zindagi k har mushkil marhalay , 
Har aazmaish main tumhare sath rahoon gi. 
Main achay dinon main tumhari zindagi main aayi hun,
Main buray dinon mai bhi tumhain akela nahin choroon gi."


-Imama Hashim

Mere haathon se khushbu jaati nahin.





Woh kia tha ?



Woh kia tha? 
Qabar ..
Ya Dozakh ?
Ya Zindagi ka aik Manzar ?



Ecstasy k baad pain hota hai.
Maut pain thi.
Qabar Nothingness.
Aur Nothingness k baad Hell.
Salaar woh safar tay karna naheen chaahta tha jo usay 
pain or us k bad nothingness se hell ki taraf lay jaye.

Muhabbat Mai Sidq

"Ye jo log kehte hain naw jis se muhabbat hui woh naheen milla. Aisa pata hai kyun hota hai ?

Muhabbat mai sidq naa ho to muhabbat nahin milti. 
9 saal pehle jab maine Jalal se muhabbat ki to puray sidq k sath ki. Duaen, Wazeefain, Manaten, Kia tha jo main ne nahin kar chora .. Magar woh mjhe nahin milla.

Pata hai kyun ?
Kyunkay uss waqt tum bhi mujhse karne lagay thay. Aur tumhaari muhabbat main meri muhabbat se ziada sidq tha." 

Ajeeb wehshat, Ajeeb Aalam


" Ajeeb Wehshat thi jo bahar thi,
    Ajeeb Aalam tha jo Andar tha. "

Tuesday, 26 August 2014

" Meri zindagi khatam ho gayi to iss se kisi doosray ko kia farq paray ga ?
Duniya main kia tabdeeli aye gi ?
Mera khaandaan kia mehsoos karay ga ?

Kuch bhi nahin ..
Chand dinon k dukh k ilawa kuch bhi nahin aur
duniya main to shayad chand lamhon k liye bhi koi tabdeeli naa aye."

Woh zinda rehna nahin chaahta tha .. 
Kyun k woh zindagi k mafhoom se waqif nahin tha.

Woh marna nahin chaahta tha .. 
Kyun k woh maut k mafhoom se bhi waaqif nahin tha,

Woh kisi khalaa mai mualaq tha. Kisi darmiyaan wali jagah main , Kisi beech wali kaifiyat main.



" Duniya Ishq e Allah se shuru hoti hai aur
Ishq e Muhammad (S.A.W) par khatam ho jati hai. " 

Peer e kamil ki talaash


"Har insaan ko zindagi main kabhi naa kabhi peer e kamil ki zarurat parti hai.
Kabhi naa kabhi insaani zindagi uss morr par aa kar khari ho jaati hai jab lagta hai  k humaray labon aur dil se nikalnay wali duayen be asar ho ayi hain.
Hamaray sajday or phailay huay haath rehmaton aur naimaton ko apni taraf morr nahin paa rahay.
Youn lagta hai jaise koi taaluq tha jo toot gaya hai.

Phir aadmi chaahta hai k us k liye koi aur haath uthaye,
kisi aur k labb us ki dua Allah tak pohnchaye,
koi aur Allah k samnay girgiraye,
koi aisa shakhs jis ki duayen qabool hoti hon,
Jiss k labon se nikalnay wali iltejayen us k apnay lafzon ki tarha morr naa dee jaati hon.

Phir insaan Peer e Kamil ki talaash shuru karta hai.
Bhaagta phirta hai dunya mai kisi aise shakhs ki talaash mai jo kaamliyat ki kisi naa kisi seerhi par khara ho."

Sunday, 24 August 2014


"Agar hamain Khaaliq kay Ehsaanon ko yaad rakhnay ki aadat na ho 
Toh hum kisi makhlooq ka Ehsaan bhi yaad rakhnay ki aadat nahi seekh saktay."





"Kayi saal pehlay jab Imama Hashim sochay samjhay baghair ghar say nikal pari thi, toh woh uss lagan ko samajh nahi paya tha.
Uss kay nazdeek woh himaqat thi.
Baad mai uss nay apnay khayalat mai tarmeem karli thi.
Ussay yaqeen agaya tha kay koi bhi waqai Hazrat Mohammad (S.A.W.W) ki mohabbat mai is had tak giriftaar hosakta hai kay sab chor day."

An Excerpt From:
Pir-e-Kamil(S.A.W)

Ussay Allah se khauf aa raha tha.


"Ussay Allah se khauf aa raha tha.

Woh kis qadarr taaqat war tha.
Kia nahin kar sakta tha?

Woh kis Qadar mehrbaan tha.
Kia nahin karta tha ..

Insaan ko insaan rakhna usay aata tha ...
Kabhi Ghazab se ..
Kabhi Ehsaan se.

Woh ussay uss k dairay main hee rakhta tha."


Bolna nahin .. sirf sun'na


"Bolna nahin .. sirf sun'na .. sirf sun'na bhi baaz dafa boht Ehmiyat ka haamil hota hai." 

Ibaadat


"Sirf Ibaadat karnay se Zindagi main koi Numayaan Tabdeeli Nahin layee jaa sakti.
Achay kaamon ya kirdaar ka ta'aluq Ibaadat karnay ya naa karnay se nahi hota." 


"Naik Aurtein Naik Mardon k liye hoti hain 
Aur Buri Aurtein Buray Mardon k liye."

Masjidain


Mujhay tum par yaqeen nahin tha .. Allah par yaqeen tha.

Imama gardan morr kar usay dekhnay lagi. 
"Mujhay yaqeen tha tum mujhay kaheen or naheen lay jao gey. "

 Woh uski baat par hansa.
"Mujh par yaqeen tha .. Kyun ? Main toh aik boht bura larka hoon."

"Mujhay tum par yaqeen nahin tha .. Allah par yaqeen tha."

Salaar k maathay par kuch bal par gaye.

"Mainy Allah or apnay paighambar (S.A.W) ke liye sab kuch chor diya hai.
Yeh kabhi bhi nahin ho sakta tha k woh mujhay tumhare jaise aadmi k haathon ruswa karte,
Yeh mumkin hee nahin tha." 

Ye hai tera Karam


Pooray Qadd se jo khara hoon toh ye hai tera Karam
Mujhko jhuknay nahin deta sahaara tera.


Wahan sirf hum hoty hain or Allah hota hai.


" Zindagi main kabhi naa kabhi hum uss muqaam par aa jatay hain, 
Jahan saaray rishtay khatam ho jatay hain.

Wahan sirf hum hoty hain or Allah hota hai.

Koi maa baap,
Behen bhai,
Koi dost nahin hota.

Phir hamain pata chalta hai k hamaray pairon k neechay koi zameen hai,  Naa sarr k upar koi aasmaan.
Bas sirf aik Allah hai jo iss khalla main bhi hamain thaamay huay hai.

Phir pata chalta hai k hum zameen par pari matti k dhair mai zarray ya darakht par lagay aik pattay se ziada ki wuqa't nahin rakhty.

Phir pata chalta hai k hamary honay naa honay se sirf hamain farq parta hai.
Sirf hamara kirdaar khatam ho jata hai.

Kainaat mai koi tabdeeli nahin aati, Kisi par koi asar nahin parta. "





Translation:


“ In life, at sometime or another we come to a point where all relationships cease— 

where there is only us and Allah. 

There are no parents, 
brother or sister, 
or any friend. 

Then we realize that there is no earth under us nor is there sky above, 
but only Allah who is supporting us in this emptiness. 

Then we realize our worth – it is not more than a grain of sand or the leaf of a plant. 

Then we realize our existence is only confined to our being. 
 Our demise makes not a whit of difference to the world around us,  nor to the scheme of things.” 


― Umera Ahmedپیرِ کامل

Tum Pachtaao gi Imama!

" Tum jo kuch kar rahi ho Imama! tum iss per bohat pachtao gi. Tumharay haath kuch bhi nahi aye ga." 9 saal pehlay Hashim Mubeen nay uss kay chehray per thappar martay hue kaha tha.
"Saari duniya ki zillat aur ruswaayi, badnaami aur bhook tumhara muqaddar bun jaye gi." Unhone uss kay chehray per aik aur thappar maara. 
"Tumhari jesi larkiyon ko Allah zaleel aur khuwar karta hai.Kisi ko moonh dikhanay k qabil nahi chorta." Imama ki aankhain nam hogayeen.
"Aik waqt aye ga jab tum dobara hamari taraf loto gi. Minnat simaajat karo gi. Girgirao gi. Tab hum tumhain dhutkaar dain gay.Tab tum cheekh cheekh kar apnay moonh say apnay gunaah ki maafi mango gi. Kaho gi main ghalat thi."I mama ashkbaar aankhon say muskurayi

"Meri khuwahish hai Baba!"Uss nay zair-e-lab kaha."Kay zindagi mai aik baar main aap kay samnay aaoon aur aap ko bata doon kay dekh lijiye, meray chehray per koi zillat, koi ruswaayi nahi hai. Meray Allah aur Meray Paighambar(Sallalahu Alayihi Wasallam) nay meri hifazat ki. Mujhay duniya k liye tamasha nahi banaya, na duniya mai banaya hai aur na hi aakhirat mai kisi ruswaayi ka samna karoon gi.
Aur main aaj agar yahan mojood hoon tu sirf is liye kiun kay main seedhay rastay per hoon aur yahan baith kar main aik baar phir iqrar karti hoon kay Mohammad(Sallalahu Alayihi Wasallam) Allah kay aakhri Rasool hain. Unn kay baad koi paighambar aya hai na hi kabhi aye ga. Main Iqraar karti hoon kay wohi Peer-e-Kamil hain. Main iqrar karti hoon kay unn say kaamil tareen insaan doosra koi nahi. Unn ki nasal mai bhi koi unn k barabar aya hai na hi kabhi aye ga aur main Allah say dua karti hoon kay woh mujhay anay wali zindagi mai kabhi apnay saath shirk karwaye na hi mujhay Aakhri Paighambar Mohammad(Sallalahu Alyihi Wasallam) kay barabar kisi ko la khara karnay ki jurrat ho.
Main dua karti hoon kay Allah zindagi bhar mujhay seedhay raastay per rakkhay.Beshak main uss ki kisi naimat ko nahi jhutla sakti."

Ussay uss Aurat ka kafeel bana diya gaya tha ..

Salaar kuch kahay baghair uth khara hua. Woh Khaana Kaaba kay darwazay ko dekh raha tha. Bilaashuba ussay zameen per utaari janay wali Suaaleh aur Behtareen auraton mai say aik bakhsh di gayi thi. 

Woh aurat jis kay liye 9 saal uss nay her waqt aur her jagah dua ki thi. Kiya Salaar Sikandar kay liye naimaton ki koi had reh gayi thi aur ab jab woh aurat uss kay saath thi tu ussay ahsaas horaha tha kay woh kesi bhaari zimmedaari apnay liye lay betha tha. 

Ussay uss aurat ka kafeel bana diya gaya tha,jo naiki aur Paarisaayi mai uss say kahin aagay thi.



Imama uth khari hui. 
Salaar nay kuch kahay baghair uss ka haath thaam kar wahan say janay kay liye qadam barha diye. 

Ussay uss aurat ki hifazat sonp di gayi thi, jiss nay apnay ikhtiyaar ki zindagi ko uss ki tarah kisi alaaish aur ghalazat mai nahi duboya, jis nay apni tamam Jismaani aur jazbaati kamzoriyon kay bawajood apni rooh aur jism ko uss ki tarah nafs ki bhaint nahi charhaya. 

Uss ka haath thaamay qadam barhatay hue ussay Zindagi mai pehli baar Paarisaayi aur Taqwaa ka matlab samajh mai araha tha.

Woh uss say chand qadam peechay thi. Woh Haram Paak mai bethay aur chaltay loagon ki qataaron kay darmiyaan say guzar rahay thay. Woh apni poori zindagi ko jesay Film ki kisi screen per chalta dekh raha tha aur ussay betahaasha khoaf mehsoos horaha tha. Gunaahon ki aik lambi fehrist kay bawajood uss nay sirf Allah ka karam dekha tha aur uss kay bawajood uss waqt koi uss say ziada Allah kay ghazab say khoaf nahi kha raha tha. 

Woh shakhs jis ka I.Q Level 150+ tha aur jo Photographic memory rakhta tha 9 saal mai jaan gaya tha kay in donon cheezon kay saath bhi zindagi kay bohat saray muqamaat per Insaan kisi andhay ki tarah thokar kha kar gir sakta tha. Woh bhi gira tha bohat baar..... Bohat muqaamat per... Tab uss ka I.Q Level uss kay kaam aya tha na uss ki Photographic memory. 

Saath chalti hui larki woh donon cheezain nahi rakhti thi. Uss ki mutthi mai hidaayat ka aik nannha sa jugnoo tha aur woh uss jugnoo say umadti roshni kay sahaaray zindagi kay her ghup andheray say koi thokar khaaye baghair guzar rahi thi. "

Allah say khud maangain!

Dua qubool nahi hoti tu aasray aur waseelay talaash karnay kay bajaaye sirf haath utha lijiye,
Allah say khud maangain!
Day dai tu shukar karain, na day tu sabar..
Magar haath aap khud hi uthayain.
Zindagi ka qareena aur saleeqa nahi araha tu Uswa-e-Hasan Salallahu Alayihi Wa'aalihi Wasallam ki taraf chalay jayain, sab kuch mil jaye ga aap ko.

Ahtiraam her aik ka karain. Har wali ka, har Momin ka, har buzurg ka, har shaheed ka, har Suaaleh ka, har Paarsaah ka. Magar apni zindagi mai hidayat aur rehnumaai sirf Hazrat Mohammad Salallahu Alayihi Wa'aalihi Wasallam say lain .. kiun kay unhone aap tak apnay zaati ahkamaat nahi pohnchaaye.
Jo kuch bataya woh Allah ka naazil karda hai. "



Urooj her qoam her nasal ka khuwaab hota hai.

" Urooj her qoam her nasal ka khuwaab hota hai. 
Aur phir woh qoamain jin per ilhaami kitaabain naazil hui hon, 
Woh toh urooj ko apna haq samajhti hain 
Magar kabhi kisi qoam per sirf iss liye urooj nahi aaya kay ussay aik kitaab aur Nabi day diya gaya. 

Jab tak uss qoam nay apnay aamaal aur afa'aal say urooj kay liye apni ahliyat saabit nahi kardi woh kisi martaba, kisi muqaam, kisi fazeelat kay qaabil nahi thehreen. "

Bakhshish nahi hogi tumhari!

" Tum..... tum ... tum ....... Bakhshish nahi hogi tumhari! 
Hashim Mubeen ghussay kay alam mai ungli utha kar bolnay lagay. 
Imama ko unn per tars anay laga.
Ussay dozakh mai kharay ho kar dozakh say daranay walay shakhs per tars aya,
Ussay ankhon per patti bandh kar phirnay walay shakhs per tars aya.
Ussay mohar shuda dil walay admi per tars aya,
Ussay nafs zada aadmi per tars aya,
Ussay gumraahi ki sab say ooper wali seerhi per kharay admi per tars aya. "

Mushkil Marhala



" Insaan kay liye sab say mushkil marhala woh hota hai .. 
Jab uss ka dil kisi cheez ki gawahi day raha ho 
Magar uss ki zabaan khamoosh ho.
Jab uss ka dimagh chilla chilla kar kisi cheez ki sadaaqat ka Iqraar kar raha ho 
Magar hont saakit ho. "

Saad Saa'at

Insaan ki zindagi mai kuch saa'atain saad hoti hain. 
Shab-e-Qadar ki raat mai anay wali uss saad saa'at ki tarah 
Jissay bohat say loag guzar janay detay hain, 
Sirf chand uss saa'at kay intizar mai haath uthaaye aur jholi phailaaye bethay hotay hain.
Uss saa'at kay intizar mai jo chaltay paani ko roak day 
Aur rukay hue paani ko rawaan karday,
 Jo dil say nikalnay wali dua ko labon tak anay say pehlay muqaddar bana day."


-An excerpt from peer e kamil-

Saturday, 23 August 2014

Naiki kia hai ?

Salaar: Naiki kia hoti hai ?

Saad: Achay kaam ko naiki kehte hain.

Salaar: Acha kaam kia hota hai ?

Saad: Acha kaam ... Koi aisa kaam jo kisi doosray k liye kiya gaya ho, Kisi ki madad ki gayi ho,
kisi par mehrbaani i gayi ho, Woh acha kaam hota hai aur har acha kaam naiki hoti hai.

Salaar: Abhi kuch ghantay pehle mainy wahan footpath par aik hooker ko 50 dollar diye
jab k woh sirf 30 dollar maang rahi thi. Iska matlab ye naiki hui ?




Saad ka dil chaaha woh aik ghoonsa us k mou par kheench maaray.
Woh ajeeb aadmi tha.



Thursday, 21 August 2014

Qatra Jo Maangay Tu Usay Darya de Day


" Qatra Jo Maangay Tu Usay Darya de Day " 


Translation:
To him who begs for a drop, You grant the seas.

Foreword before Pir-e-Kamil

Pir-e-Kamil, The Perfect Mentor, has been written for you. For that moment in your life when you need to decide between light and darkness. You may tread the path that leads to light or, if you wish, take the path that ends in darkness.
Even in the light one must watch one’s step to avoid stumbling; once in the dark, it makes no difference whether one can or cannot see where one is going, for the gloom darkens with every step till darkness becomes one’s destiny. But sometimes in the dark, before the first misstep, one regrets the path taken and may want to turn back to that fork in the road of life where the journey began. Then the only solace is that voice that guides and one has no choice but to listen and follow.
Pir-e-Kamil is that voice that can guide one and can lead one from the dark towards the light, if one so wishes to take that path—‘And indeed guidance is given to them who desire it.’
Let us once again listen to that Perfect Mentor! 
—  Umera Ahmed (Foreword before Pir-e-Kamil)

Tuesday, 19 August 2014

" Zindagi mai baaz dafa hamain pata nahin chalta k hum Tareeqi se bahar aye hain ya Tareeqi mai daakhil huay hain. Andhere mai simt ka pata nahin chalta magar Asmaan aur Zameen ka pata zaroor chalta hai, Balkay har haal mai chalta hai.

Sarr uthaanay par Aasmaan hee hota hai, Nazar aye naa aye.
Sarr jhukaanay par Zameen hee hoti hai, Dikhayi day na day.

Magar zindagi mai safar karnay k liye chaar hee simton ki zarurt parti hai. Daayen, Baayen, Aagay, Peechay, Paanchween simt pairon k neechay hoti hai. Wahan zameen naa ho to Patamaal (Hell) aa jata hai. Patamaal mai pohnchnay k baad kisi simt ki zaroorat nahin rehti.

Chatti simt sarr se upar hoti hai wahan jaya hee nahin jaa saktaWahan ALLAH hota hai. Aankhon se nazar naa aanay wala, Magar dil ki har dharkan, Khoon ki har Gardish, Har aanay jaanay wali saans, Halaq se utarnay walay har nawaalay k saath mehsoos honay wala. "



Translation:
" Sometimes in our lives we do not know whether we have emerged from darkness into light or if we are entering into the dark—the direction is unknown. But one can differentiate, in any case, between the earth and the sky. 

When you raise your head, it is the sky above; 

and when you lower it, it is the earth below—whether or not it is visible. 

To move forward in life, you need just four points of direction—right and left, ahead and behind—the fifth is the ground under your feet. If that were not there, it would be an abyss, hell, and on arriving there one would have no need of direction.
The sixth point of direction was above and that was unattainable. That was where God was—He who was invisible to the eye but was present in every heartbeat, every pulsing flow of the blood, every breath, every morsel that went down one‘s throat. "

Thi kiya woh......?

“Salaar Sikandar nay pichlay aath saalon mai Imama Hashim kay liye her jazba mehsoos kiya tha. 

Hiqaarat, Tazheek, Pachtaawa, Nafrat, Mohabbat sab kuch.








Magar aaj wahan bethay pehli baar ussay Imama Hashim say hasad horaha tha.



Thi kiya woh......? 
Aik aurat.. Zara si aurat .. 










Asmaan ki hoor nahi thi....Salaar Sikandar jesay aadmi kay saamnay kiya auqaat thi uss ki.

 Kiya mera jesa I.Q Level tha uss
ka?
Kiya meray jesi kamiyaabiyaan theen us ki?
Kiya meray jesa kaam karsakti thi woh?
Kiya meray jesa naam kama sakti thi?
Kuch bhi nahi thi woh aur uss ko sab kuch plate mai rakh kar day diya 

Aur main ... Main jis ka I.Q Level 150+ hai mujhay saamnay ki cheezain dekhnay kay qaabil nahi rakha?
Woh ab aankhon mai nami liye andheray mai wind screen say baahar dekhtay hue barbara raha tha.

"Mujhay bus iss qaabil kardiya kay main baahar nikloon aur duniya fatah kar loon.Woh duniya jis ki koi wuq'at hi nahi hai aur woh....woh...." Woh ruk gaya.

Ussay Imama per ghussa araha tha. Aath saal pehlay ka waqt hota tu woh ussay "Bitch" kehta, Tab Imama per ghussa anay per woh ussay yehi kaha karta tha magar aath saal kay baad aaj woh zabaan per uss kay liye gaali nahi la sakta tha. Woh Imama Hashim kay liye koi bura lafz nikalnay ki jurrat nahi kar sakta tha. 

Siraat-e-Mustaqeem per khud say bohat aagay khari uss aurat kay liye kaun zabaan say bura lag nikaal sakta tha? Apnay glasses utaar kar uss nay apni aankhain masleen. Uss kay andaaz mai shikast khoordagi thi. 

"Pir-e-Kamil(S.A.W.W) ... Siraat-e-Mustaqeem ... Aath saal lagay thay, magar talash khatam hogayi thi. 

Jawab mil chuka tha.” 



A ghazal from peer-e-Kaamil

Meri zindagi tau firaq hai
Woh azal se dil mein makee’n sahi
Woh nigah-e-shauq se door hain
Rag-e-jaan se lakh qareeb sahi
Humein jaan deni hai aik din
Woh kisi tarhan, woh kahin sahi
Sar-e-tor ho, sar-e-hashar ho
Humein intezar qabool hai
woh kabhi milein, woh kahin milein
woh kabhi sahi, woh kahin sahi
Hua un pe jo mera bas nahi
Ke yeh aashiqui hai, hawas nahi
Main unhi ka tha, unhi ka hoon
Woh mere nahi, tau nahi sahi
jo ho faisla woh sunaiye,
isay hashar par na uthaye
Jo karein gein ap sitam wahan
Woh abhi sahi, woh yahin sahi
Ghum e zindagi se faraar kya,
Yeh sakoon kya, yeh qarar kya
Ghum e zindagi bhi tau hai zindagi
Jo nahi chain tau nahi sahi
usay dekhne ki jo lau lagi
Tau dekh he lein gein hum, Naseer
Woh hazaar aankh se dur ho
Woh hazaar parda nasheen sahi


- A ghazal from peer-e-Kaamil.

Some are born virtuous, some become virtuous.

Kuch sualeeh hoty hain kuch sualeh banty hain.
Sualeeh hona khush kismati ki baat hai.
Sualeeh ban'na Do dhaari tyalwaar par chalnay k barabar hai.
Iss mai ziada waqt lagta hai, iss mai ziada takleef sehni parti hai. "


Translation:

“Some are born virtuous, some become virtuous. 
To be good by nature is indeed fortunate 
but to become good is like walking on a double-edged sword; 
it takes a longer time and is more painful.” 


― Umera Ahmed

Aap Sualeh hain


" Agar duniya aapko apni taraf nahin kheenchti, 
Agar ALLAH k khauf se aapki aankhon mai aansu aa jatay hain, 
Agar aap ALLAH ki ibaadat ussi tarha karte hain jis tarha karni chahiye,
Agar naiki aapko apni taraf raaghib karti hai, 
Aur aap burai se rukk jaatay hain 
Toh phir aap Sualeeh hain. "