Duniya ki kahi hui baat aur apnon ki kahi hui baat main farq yeh hota hai ke
Duniya ki kahi hui baat pehlay takleef deti hai phir uss ki aadat hojati hai..
Apnon ki kahi hui baaton ki kabhi aadat nahi hoti..
Harr baar sun’nay per takleef pehlay say ziada barhti hai!
Translation:
The difference between what the world says and what your own say to you is that whatever the world says to you will only hurt you the first time! After that, you become used to it, almost numb to it! But when someone you hold close to you says something, you can never get used to it.. Every time you hear it, it’ll hurt you more than before!
-Man O Salwa (Umera Ahmed)
______________________________________________________________________
Khooni rishton ki yahi majboori hoti hai; Unhain aik doosray ko maaf kar na hee parta hai
That’s the problem with blood relationships; They have to forgive each other eventually!
-Umera Ahmed-
___________________________________________________________________
“Zindagi aur patang baaz dafa insaan ko aik hee tarah khuwaar kartay hain,
Aik hee tarah fantasize karwatay hain,
Aik hee tarah apnay peechay doratay hain,
Aik hee tarah khushi se pagal kartay hain,
Aur aik hee tarah mayoos bhi kartay hain.
Lekin na patang ko koi asmaan mai urnay se rok sakta hai na zindagi ko chalnay se…”
Aik hee tarah fantasize karwatay hain,
Aik hee tarah apnay peechay doratay hain,
Aik hee tarah khushi se pagal kartay hain,
Aur aik hee tarah mayoos bhi kartay hain.
Lekin na patang ko koi asmaan mai urnay se rok sakta hai na zindagi ko chalnay se…”
— |
Aks, Umera Ahmed
Translation: [Life and Kites are very similar]
Both life and kites trouble humans in similar ways.
They both make you fantasize, They both make you chase after them, They both make you go crazy with happiness And they both disappoint you as well. But just as you can’t stop a kite from flying in the sky, you can’t stop life from going on…
_________________________________________________________________
“Duniya main Larkiyon sey ziadah koi Ahmaq nahi hota..
khush fahmi ka aghaaz aur ikhtatam hum par hi hota hai.
Sari umar hum mohabbat ki bay-saakhiyon ka intezaar karti rahti hain...
Takay Zindagi ki race shuroo karsakain..
Humain mard kay baray main yeh khush fehmi hoti hai ke
woh aayega..
Koi hum sey hamdardi karay tou humain khush fehmi honay lagti hai ...
Koi humari taareef kare to woh humain apni mutthi main Qaid nazar anay lagta hai...
Koi hamare saath waqt guzaray to humare hosh o hawas apne thikane par nahi rehte..
Hum main MATURITY tab aati hai jab humain REJECT kia jaata hai.”
-Amar Bail- ______________________________________________________________
Jo log dusron k dilon ko kaanton se zakhmi karte hain.
Un k apnay andar keekar ugay huay hoty hain. Woh chaahain naa chaahain .. Un k wajood ko kaanta ban'na hota hai. Woh phool nahin ban sakte. -La-Haasil-
______________________________________________________________________
Duniya aurat k maazi ko kabhi nahin bhoolti,
Duniya sirf mard k maazi ko bhoolti hai.
-La-Haasil-
_________________________________________________________________
Chehray kitnay ajeeb hoty hain. Raaz hoty hain.
Jab inhen parhnay lagein toh youn lagta hai jaise kuch bhi chupa hua nahi hai.
Dusri dafa nazar daalein to dobara shuru se parhna parta hai.
Youn jaise kitaab ka warq ulat gaya ho.
-Yeh jo ik Subha ka sitaara hai-
_______________________________________________________________
Humaray peechay kia tha hum ye bhulana chaahty hain.
Humaray aagay kia hai humaray liye dhoondna mushkil hai.
Magar kaheen naa kaheen, kuch na kuch to hamaray liye bhi hai.
-Amar Bail-
_________________________________________________________________
Kon kehta
hai k kisi shakhs se aik bar muhabbat honay k baad uss se nafrat ho sakti hai.
Jo kehta hai woh duniya ka sab se bara jhoota hai.
Cycle of
replacement main sirf muhabbat ki replacement nahin hoti. Khud ko fareb dene k
bawajood hum janty hain k humaray wajood main khoon ki gardish ki tarhan basnay
wala naam kiska hota hai.
Hum kabhi
bhi usay apny wajood se nikaal kar bahar nahin phaink sakte. Tehh dar tehh uss
k upar dusri muhabbaton ka dhair lagaye jaty hain. Kehte jatay hain .. Ab hum
iss se muhabbat karte hain, ab hum uss se muhabbat karte hain.
Lekin jo ziada door hota jata hai who ziada qareeb aata jata
hai. Aur woh hamaray dil or dimagh k uss hissay
tak jaa pohanchta hai k kabhi agar usay wahan se nikaalna paray toh phir
us k baad hum normal zindagi guzaarnay k kaabil hee nahin rehte.
-Amar Bail-
Jis cheez se
be-hadd muhabbat ho, uss k baray main sochna nahin chahiye kyunkay muhabbat
shubhaat ko paida karti hai aur shubhaat muhabbat ko khatam kar dete hain.
-Meri Zaat
Zara e Benishaan-
_________________________________________________________________
Shaadi k baad beewi shohar k hath main pakray taraazu k jis pallray mai jaa kar bethti hai, wo pallra bohat halka hota hai. Dusray pallray mai susraal walay hoty hain.
Wo pallra both bhaari hota hai, aur kayi saal tak bhaari rehta hai.
Phir ahesta
ahesta Sabar, Qurbaani, Bardaasht se beewi ka palra bhaari hony lagta hai,
jhuknay lagta hai.
Pehlay
susraal walon k pallray k barabar aata hai, phir uss se bhaari ho jata hai.
Phir hamesha bhaari rehta hai. Fiza main mua’laq nahin rehta, wo zameen se laga
rehta hai.
Lekin
tawazun badalta hai. Aur ye kaam sirf aur sirf aurat ka sabar karta hai. Waqt
karta hai. Qurbaani karti hai.
-Durr e Shehwaar-
Insaan ki
khwahishaat se Allah ko dilchaspi nahin hai. Wo uski taqdeer apni marzi se
banata hai. Usay kia milna hai aur kia nahin iska faisla khud karta hai.
Jo cheez apko milna hai aap uski khwaahish Karen ya naa Karen, wo kisi dusray k paas nahin jaye gi. Magar jo cheez apko nahin milna wo kisi k paas bhi chali jaye magar aap k paas nahin aye gi.. Insaan ka masla ye hai k wo janay wali cheez k malaal mai mubtala rehta hai, anay wali cheez ki khushi usay masroor nahin karti.
-Emaan Umeed
aur Muhabbat-
__________________________________________________________________
"Achi larkiyaan Allah ki baat maanti hain. Wo har jagah nahin chali jaati, wo har kisi se nahin mill leti."
To phir main
buri larki hun ?
"Nahin! Koi
larki buri nahin hoti. Bas uss se kabhi kabhi bura ho jata hai aur uss se Allah
naraz ho jata hai aur jab wo naraz hota hai toh wo insaan ko akela chor deta
hai.
Aur jaanti
ho akela chorna kia hota hai ?
Jab banda
dua karta hai toh dua Qabool nahin hoti, wo madad mangta hai to madad nahin
aati, wo raasta talaashta hai toh raasta nahin milta."
-An excerpt
from Nimra Ahmed’s Novel Jannat k Pattay-
_________________________________________________________________
" Rahi muhabbat! Toh woh toh achi larkiyon ko bhi ho hee jati hai.
Lekin jab unhen ye pata chal jaye k wo muhabbat unhen mill hee nahin sakti,
Toh woh Khamosh rehti hain.
Achi larkiyan Khamosh hee achi lagti hain. "
- An excerpt from Nimra Ahmed's Novel Jannat k Pattay-
_______________________________________________________
Allah par tawaqul bari shay hai aur Allah k paas khoob se
khoob tar hota hai. Jo humain kaamil lagta hai,
Allah k paas uss se bhi achi aur
umdah shay hoti hai.
-Aks-
______________________________________________________________
Zindagi ka har imtehaan zahanat aur mehnat se pass nahin
kiya jaa sakta, Baaz imtehaanon k liye kismat k ilawa aur koi cheez darkaar
nahin hoti.
-Aks-
Mard ki mardaangi, taaqat rakhnay k bawajood apni awaaz ko
madham rakhnay main hai, aik aurat k saamnay gala phaarnay main nahin.
Wo aurat ko bhi aata hai.
-Aks-
Baahar ki koi ghalazat aur ta'affun Insaan kay zehan kay andar mojood ghalazat aur ta'affun ka muqabla nahi karsakti.
-Aks- _________________________________
Kaanton wala aik darakht hota hai. Uss kay kaantay sab ko chubhtay hain. Kaanton ko koi istimaal nahi karta. Magar uss darakht mai sirf kaantay hi tu nahi hotay, pattay hain, phal hota hai, phool hotay hain, uss ki jarain hoti hain, tana hota hai, lakri hoti hai.
Kaantay nuqsaan deh hotay hain magar baaqi cheezain tu nahi.
Tum dekho, tumharay andar kia hai? Duniya mai kisi insaan ko sirf khoobiyon aur khaamiyon k saath paida nahi kia gaya. Her shakhs mai donon cheezain hoti hain. Magar jis tarah koi apnay dayain haath ka ziada istimal karta hai aur koi baayain haath ka, issi tarah kisi ki khaamiyan us ki personality per ghalib ajati hain aur kisi ki khoobiyan.
-Thora Sa Asmaan-
_________________________________
"Jab aur kuch nahi diya tu phir dil bhi kyun diya, jo mehsoos karta hai.
Dimagh kyun diya jo sochta hai ? Yeh na deta tu zindagi acchi guzar jati,
Kisi khuwahish, kisi khuwab kay baghair.
Allah kiya tum mujhay bata saktay ho kay iss poori duniya mai tum nay meray liye kiya rakkha hai, kahan rakkha hai ? Battees(32) saal mai kuch mila. Kiya anay walay saalon mai kuch mil sakay ga. Koi aisi cheez jis per main bhi fakhar kar sakoon. Koi aisi shay jo meray liye ho. Kuch aisa jo meray wujood kay qad-o-qaamat ko barha dai. Meray chehray ki sayaahi ko chupa dai meray haath ki maazoori ko kam karday. Main zameen per chalnay wali cheeoonti na rahun. Aye Allah kiya tumharay paas Fatima Mukhtar kay liye kuch hai, koi zarra, koi wujood. Kiya tum ko meri awaz arahi hai?"
Woh sarak per chaltay hue ab barbaranay lagi. Asmaan abhi bhi aag ki tarah tap raha tha. Zameen abhi bhi alaao ki tarah jal rahi this uss ka wujood abhi bhi moam ki tarah pighal raha tha. Kahin per kuch bhi nazar nahi araha tha.
Woh baar baar Khuda ko awaazain day rahi thi yun jesay us ka jawab sun'na chahti ho. Uss ki awaz sun'na chahti ho. Magar kahin per koi awaaz nahi thi na khuda ki na Insaan ki. Wahan koi Insaan nahi tha magar Khuda tha woh sun raha tha, woh dekh raha tha. Siyaah sarak per chalta woh bhadda wujood bhi uss hi ki takhleeq tha, uss hi kay saanchay mai ghara hua ,uss hi kay haathon say taraasha hua, phir woh wujood zameen per bhej diya gaya utni hi chahat kay saath jitni chahat kay saath doosray wujood bhejay gaye thay. Phir Insaan nay ussay dekha aur........aur hans para tha. Khuda ki takhleeq per ussay hansi aayi thi.
"Yeh kiya cheez hai?" Uss nay socha tha aur aik baar phir hans para tha. Allah nay uss hansi per bijli giraayi thi na Insaan ki beenaayi cheeni thi. Bus aik gehri sochti hui nazar say ussay dekha tha phir kahin......Kahiin kuch likh liya tha. Ab woh bhadda wujood Khuda ko bata raha tha kay Insaan uss per hansta hai uss per tars khata hai, ussay mustarad karta hai. Allah ki taklheeq ko, uss kay fun ko, uss kay hunar ko, Allah khamoosh tha magar sun raha tha aur woh khoob sun'nay wala tha.
_________________________________
Baaz daffa chehray dekhnay ki zaroorat nahi hoti. Sirf awaazon ki zaroorat hoti hai kisi aisi awaz ki jis mai hamdardi ho jo aap kay wujood kay tamam naasooron ko nashtar ki tarah kaat phainkay aur phir bohat narmi say her ghaao ko si day.
-Aao Pehla Qadam Dhartay Hain-
_________________________________
Zindagi nay ussay sikhaya tha kay zaahiri badsoorati khoaf khanay wali shay nahi hoti.
Yeh insaan kay andar ki badsoorati hoti hai jis say darna chahiye.
_________________________________
Zindagi aur khail mai bohat farq hota hai.
Khail ko hum kheltay hain laiken Zindagi hamain khelti hai, Hum zindagi kay mohray hotay hain Zindagi ko mohra nahi bana saktay. -Aks- _________________________________
Insaan baaz daffa apni zaat kay bohat say pehloo'on say uss waqt aagah hota hai jab doosray ussay dekh letay hain.
Unn ka uss say waasta per jata hai, woh uss per baat karnay lagtay hain.
Aur tab Insaan jesay shock kay aalam mai apni zaat kay uss pehloo ko dekhta hai.
Hairaan hota hai.
Main aisa kis tarhan kar sakta hoon?
Laiken sara masla yeh hota hai kay sawal bohat saray hotay hain jawab nai.
Jawab bus aik hota hai. Aur woh dhoondnay say bhi nahi milta....
-Aks-
_________________________________
"Kisi bhi mulk mai kuch nahi hota. Her mulk zameen ka aik tukra hota hai.
Asal cheez uss zameen kay tukray per basnay walay loagon mai hoti hai.
Kami hamesha unn loagon mai hoti hai aur yeh Khaami uss mulk ka ta'arruf ban jati hai. Aisa signboard jissay phir woh mulk uthaye phirta hai."
An Extract From:
Mutthi Bhar Matti
_________________________________
Papa aurat ghar basati hai,
Mard na ghar basatay hain na unn ko
Tootnay say bachatay hain.
Yeh donon kaam aurat karti hai...
Meri Maan nay kiya ab uss ki beti karay gi...
Aur kal main apni beti ko bhi yehi sabaq sikhaoon gi.
_________________________________
Shaadi insaan ko aise nahin karni chahiye k
Kuch k liye bojh,
kuch k liye tamasha
Aur kuch k liye hasrat ban jaye.
-Miraat ul Uroos-
_________________________________
Ideal kiya hota hai?
Ideal tu kuch bhi nahi hota, aik illusion, aik saraab, hamaray zehan ki ikhtira'a,
Ideal tu kuch bhi nahi hota, asal tu woh hota hai jo aankhon say dikhayi deta hai.
Hum insaan apnay saath bohat ziaadati kartay hain jab hum apnay zehan mai ideal bana letay hain.
-Durr e Shahwaar-
_________________________________
"Zindagi men kuch cheezen aesi hoti hen jo humen kabhi nahien mill saktien
Chahay hum royen ya chillayen ya bachoun ki tarhan aerhriyan ragrain wo kisi dosray kay liye hoti hen.
Magar iska yeh matlab nahien kay zindagi men hamaray liye kuch hota he nahien kuch na kuch hamaray liye bhi hota hai"
_________________________________
Quran nay Insaan ko Ashraful makhlooqat kaha hai .. Insaan ko!
Mard ko nahi.
Mard aur aurat donon ko.
Mard ko aurat ka nigraan banaya hai
tahaffuz denay k liye. Maar peet k liye nahi.
_________________________________
Zindagi main hamaray sath chalnay wala har shakhs iss liye nahin hota k hum thokar khaa kar giren aur hamain sambhaal lay, Haath thaam kar girnay se pehlay ya baazu kheench kar girnay k baad. Baaz log zindagi k iss safar main hamaray sath sirf ye dekhnay k liye hote hain k hum kab kahan aur kaise girte hain. Lagnay wali thokar humare ghutnon ko zakhmi karti hai ya hamare haathon ko, Khaak hamaray chehray ko ganda karti hai ya kapron ko. -Thora sa Aasmaan- _________________________________
Muhabbat aur izzat e nafs ka aapas main bara gehra ta'aluq hota hai.
Muhabaat sab se pehlay izzat e nafs ko khatam kar deti hai!
Ya banda muhabbat kar lay ya phir apni izzat.
Haath ki muthi main ye dono cheezen ikathi nahin aa sakteen.
-Amar Bail-
_________________________________
"Mujhay lagta hai Arfeen maine zaroor koi gunaah kiya hai.
Khuda kisi ko gunnah k bhaghair itni ruswai nahin deta, jitni uss ne mujhay dee hai.
3 saal pehle jab mera jee chaahta tha mian uss se baten karti thi. 3 saal se uss ne mjhse baaten karna band kar diya hai. Main 3 saal se usay aawazen day rahi hun magar woh jawaab nahin deta. Main 3 saal se har woh kaam kar rahi hun jo usay khush kar day.
Allah sabar karnay walon ko pasand karta hai .. Dekh lo .. maine sabar kiya hai. Main kisi se shikwa nahin karti.
Allah muaaf karne walon ko pasand karta hai .. maine sab ko muaaf kar diya. Tumko .. Taaya abbu ko .. taayi ammi ko ... Ammi ko.
Magar woh phir bhi mujhse khafa hai.
Allah ko aajzi pasand hai, mera dil karta hai main matti ban jaoon, logon k pairon k neechay aaon, Phir woh mujh par apni nazar kar de. "
-Meri zaat zara e Benishaan-
_________________________________
|
No comments:
Post a Comment