Shehr e Zaat ( The City of Self ) Quotes

Tujhe banaya hai uss ne toh kya tujhay chor de ga? 

Kabhi maa mailay main bachay ki ungli chorti hai? 

Agar choot bhi jaye toh bacha itna beqaraar nahi hota jitni maa hoti hai. 
Phir Allah insaan ko kaise chor sakta hai? Tujhe kaise chor sakta hai? 

Uss ki nazar main jo aik baar aa jata hai hamesha rehta hai

— 





Translation: Do you really think He’d leave you alone after creating you? 
Have you ever seen a mother let go of her child’s finger at an amusement park? 
Even if they do separate, the child doesn’t become as restless as the mother. 
So then how can Allah leave someone? How can He forget you? 

Once He has set His gaze upon you, you will forever remain in His sight.

Shehr E Zaat, Umera Ahmed




_____________________________

" Mummy ye mard aurat k liye kia hota hai ? Wo uss k sawaal ko samajh naheen paiyeen theen.

Pata hai mummy maard aurat k liye kia hota hai. Darwaza hota hai. Darwazay ka kaam raasta dena hota hai ya raasta rokna, Iss darwazay ne mera raasta rok liya hai. Mera hee nahin har aurat ka raasta rok liya hai. Agay janay hee nahin deta. Aaj tak aagay janay nahin diya. Iss liye to aurat paighambar hoti hai naa wali. Wo darwaza kholnay ki koshish nahin karti, Waheen uss darwazay ki chokath pe bethi rehti hai. Ussay hee choomti rehti hai Sajda kerti rehti hai. Darwaza phir raasta kyun naa rokay?
Uski baaten unhen andar tak hilla rahi theen. Kia keh rahi ho tum? Kyun aisi baaten kar rahi ho ?

Pata hai mummy aurat bail (vine) ki tarha hoti hai or mard deewar ki tarhan. Bail saari zindagi deewar ko dhoodti rehti hai jis k saharay wo upar jaa sakay, Nazron mai aa sakay. Jahan tak deewar jati hai, wo bhi bas waheen tak jati hai.Bail ko lagat hai agar deewar naa hoti to wo saari umar rulti rehti logonk pairon talay aati, magar nazrn mai naa aati. Wo saari umar deewar ki mashkoor rehti hai. Usay saaya deti hai, Apnay phoolon se sajati hai, mehkaati hai. Jab sookhnay lagti hai toh bhi us say chipki rehti hai. kisi chipkali ki tarha. Khatam honay k baad bhi usay kisi doosray ka sahara nahin chaiye .. Aur deewar ..

Mat socho in cheezon k baaray mai! Ab wo uski baaton se pareshaan ho rahi theen.

Mummy dekhain deewar ka kitna faida hota hai! Bail usay sajaati hai, mehkaati hai or khud khatam honay tak uski ehsaan mand rehti hai. Aur deewar .. Wo to bas sahaara denay ka faida uthaati hai, Bas sahaara .. "




Daughter: Mama, do you know what a man is to a woman?
Mother: Why are you asking about this?
Daughter: Do you know what a man is to a woman? 
He is a door. The job of a door is to either lead to the right path or block the path. This door blocked my path. Not only mine, but all woman’s paths. They don’t let us get ahead. They’ve never let us get ahead. And the woman…she never even tries to open the door. She just sits at the doorstep and kisses it and makes prostration to it. Then why should the door lead the way?
Mother: Why are you talking like this?
Daughter: Do you know what a woman is? She’s a vine, and man is the wall. All her life, the vine tries to find a wall so that she can climb up and can be seen. The vine can only climb up as far as the wall is high. The vine thinks that if there isn’t a wall, she isn’t anything. She gets stepped on under people’s feet so she becomes dependent on the wall. She covers it and decorates and beautifies it with her flowers. When she dries up she still sticks to the wall. Like a lizard [meant as an insult].
Mother: Don’t think about these things!
Daughter: See how the wall benefits from all this? The vine covers and decorates and beautifies him. But the wall only supports. Only supports.
—  Shehr-e-Zaat written by Umera Ahmed


_______________________________



" Bohat say logon ko duniya mai sirf ek cheez milti hai, Aur ek hee cheez milti hai. Baaz logon ko Duniya mai sab kuch milta hai aur sab kuch hee milta hai. "

— Shehr-e-Zaat written by Umera Ahmed

                               

                             _______________________________



Dil ajeeb shay hai, ajeeb cheezen mangta hai, ajeeb cheezen karne ko kahta hai.”
 



Translation : "The heart is a strange thing. It wants strange things, tells you to do strange things.


—  Umera Ahmed, Shehr-e-Zaat



                                _______________________________





" Mard ko khush karnay ke liye kya kya nahi karti hai aurat. Andar badal deti hai, bahar badal deti hai, dil badal deti hai, wajood badal deti hai…sirf iss liye ke woh khush rahay, naraz na ho, us ki nazar na badlay.
Allah ko khush karnay ke liye woh batin kya zahir ko badalnay ko tayar nahi hoti. Allah kehta hai sar ko dhaamp lo; mard kehta hai sar ko matt dhaampo, meri biwi ko modern hona chahye. Woh Allah ki nahi sunti, mard ki sunti hai.
Allah kehta hai apnay wujood ko dhaampo, apni zeenato’n ko chupaao.
Mard kehta hai aisa matt karo ta’kay meray sath chalti phirti achi lago. Woh Allah ki nahi maanti, mard ki maanti hai. Woh kehti hai mard ke saat rehna hai, saari umar basr karni hai, us ki nahi maanein ge toh kis ki maanein ge? Mard ki biwi hai, ye rishta toh kabhi bhi toot sakta hai…
Allah ki toh makhlooq hai, ye rishta kabhi toot nahi sakta. Woh daaimi rishtay ki fikar nahi karti, saari umar aarzi rishton ko roti rehti hai, un ki fikar karti hai. Allah ne toh aurat ko ghulam nahi banaya, majboor nahi banaya, mahkoom nahi banaya…uss ne khud bana liya hai.
Apna mehwar zaat ko nahi, wajood ko bana liya hai. "


-Shehr E Zaat, Umera Ahmed




_________________________






“Nafs. 
Nafs Insaan Ko Janwar Bana Deti Hai. Jab Insaan Nafs Ka Ghulam Ho Jata Ha tou Janwar Ban Jata Hai!” 



—  Umera Ahmed, Shehr-e-Zaat




_________________________




“Allah Pe Jab Tawakal Hota Hai Na, Tou Mushkil Kaam Bhi Aasaan Ho Jata Hai.” 


—  Umera Ahmed, Shehr-e-Zaat



_________________________



" Har aik ko bhikari bana kar Raastay me bithaya hua hai, 
Aur har aik khud ko Malik samjhta hai.
Jab tak thokar nahi lagti, 
Jab tak ghutnon par nahi girta apni aukaat ka pata hi nahi chaltaa.
Wojood kay Naseeb main hai Bhikari hona.
Bus Zaat bhikari nahi ho sakti. 
Wojood k muqadar me mangana hay, Zaat ka wasaf daina hay. 
Main to kia Bibi! sab bhikari hain. Aj nahi to Kal, Kal nahi to parson 
kabhi na kabhi bhikari ban'na hi parta hay. 
Mangana hi hota hay. 
Koi Ishq mangata hai, 
Koi Duniya, 
Aur jo yeh sab nahi mangta woh ..
Khwahish Ka Khatam hona mangata hay. 




—  umera ahmed- shehr e zaat.


                                    

 _________________________





“ Us se kaho, Mujhe dekhe us se kaho, Mujh per nazar kare, 
Aik baar ..  aik lamhay ke liye, Main dekhne ke qaabil nahi hoon per us se kaho mujhe dekhe use kaho mere Ganday wajood per bhi aik baar apni nazar kare, 
Usay to thoker maarna nahi aata, Use to dhutkaarna nahi aata, woh to faraq nahi kerta, woh to aas nahi torta."
Is ne ab aurat ka haath chor ker us ke aagay apne haath jorr diye the.
“Tujhe banaya hai us ne to kiya tujhe chorr dega? kabhi maa melay main bachay ki ungli chorti hai ager choot bhi jaye to bacha itna beqaraar nahi hota jitni maa hoti hai. phir Allah insaan ko kese chorr sakta hai. tujhe kese chorr sakta hai.uski nazar main jo aik baar aajata hai phir hamesha rehta hai.


shehr-e-zaat.



_________________________




“Kaisi Duniya Hai, 
Logon Ke Ajeeb-O-Gareeb Sawal Jawab Se Kitne Pareshaan Hain Aur, 

Ek Din Jab Allah Ta'llh Sawal Jawab Karega Tou Uski Fikr Hi Nahi.” 



—  umera ahmed- shehr e zaat.







                                  _________________________




“ Pehlay pehlay apnay haath say banaye hue butt say piyaar hojata hai phir
 Apnay aap say Ishq hojata hai, 
Phir apnay aap ko Aadmi Kaamil samajhnay lagta hai.” 


—  umera ahmed- shehr e zaat.


_________________________



“Qabristaan fascinate honay wali jagah nahi hai, Ibrat ki jagah hai” 

—  Umera Ahmed.




_________________________




"Allah ka shukr adaa karnay kay liye kisi cheez ka hona zarori thori hota,
bas insan ko aadat honi chahiye Allah ka shukr ada karnay ki"
—  Shehr-e-Zaat


_________________________



“Allah Ki Mohabbat Ke Siwa, Har Mohabbat Ko Zawal Hai. 
Rab Ki Mohabbat Ke Illawa Duniya Ki Koi Mohabbat Sachi Nahi, 
Aur Rab Asliyat Dekha Deta Hai. 
Har Rishte, Har Mohabbat Ki. 
Phir Wo Sab Kuch Dekha Ker Adami Se Kehta Hai, 
“Ab Bata Tera Mere Siwa Kon Hai?”


Translation: 

" God Unveils the reality of 
Every Relation, Of every Love
Then, After He has shown everything, 
He asks man; 
Now tell me, Who do you really have besides me? "


—  Umera Ahmed (Shehar-e-Zaat)





_________________________




''Akhir Esa Kyun Hota Hai Kay Jab Hum Kisi Insan Ki Muhabbat Main Mubtala Ho jayen Tou Koi Humein Pagal Nahi Kehta...Magar Jab Hum Allah Ki Muhabbat Me Mubtala Hon Or Apni Zaat Ko Pehchaan Lein Tou Phr Sab Humein Pagal Kehne Lag Jate hein!''




 —  Umera Ahmed (Shehar-e-Zaat)






_________________________




"Rab Insaan Ko Kitne Maukay Daita Hai. 
Baar Baar Ghalti Karte Hain Baar Baar Muafi Mangte Hain Aur Woh Saari Ghaltyan Muaaf Kar K Humko Phir Aik Moka Daita Hai. 
Hum Par Aitbaar Karta Hai. Tou Hmain Bhi Insaano Ko Dusra Moka Daina Chahye".


—  Umera Ahmed (Shehar-e-Zaat)



_________________________




" Aik shakhs say mohabbat, insan ko kitna majboor kar deti hai.

Main nay zindagi may kisi ki parwah hi nahi ki aur ab is shakhs ki parwah ki hai tou mujhay ahsaas huwa hai keh mohabbat karnay kay baad banday ko kitna jhukna parta hai sirf is khof say keh kaheen doosra aap ko chor na day. "



—  Umera Ahmed (Shehar-e-Zaat)


_________________________





" Butt bantay he tootnay k liye hain. Kyun K ye unka Muqaddar hota hai. "

—  Umera Ahmed (Shehar-e-Zaat)







_________________________





Allah se insaan muhabbat karta hai aur chaahta hai k Allah bhi us se muhabbat
karay,Magar muhabbat k liye woh kuch dainay ko taiyaar nahin.

Allah k naam par wohi cheez dusron ko deta hai jisay woh achi tarha istemaal kar chuka ho, Chaahay woh libaas ho ya joota .. 

Woh khairaat karnay walay k dil se utri hui cheez hoti hai.
Jis k badlay woh Allah k dil main utarna chaahta hai.




_________________________



“Daulat Fazal Nahin Hai Azmaysh Hai, 


Khanay Ki Cheezon Se Bhara Yeh Fridge Rehmat Nahi Ho Sakta, 
Kapron Se Bhari Hui Yeh Wardrobe Rehmat Nahin Ho Sakti, 
Jwellery Se Bhara Hua Yeh Draaz Aur Rupay Se Bhara Hua Locker Bhi Rehmat Nahi, Yeh Ghaariyan, Yeh Banglay, Yeh Sab Kuch Rehmat Nahi Hai Mummy. 
Israaf Hai. Kamingi Hai, Khud Gharzi Hai, Zalaalat Hai. 
Apke Aur Mere Paas Yeh Rehmat Aur Fazal Hai Tou Is Ghar K Naukar Hmaari Utran Kiun Pehntay Hain?? Tootay Hue Quarteron Main Kiun Rehtay Hain? 
Iss Rehmat Aur Fazal Ki Hifazat K Liye Jo Guard Gate Per Kharay Hain Who Tooti Hui Cyclon Par Ghar Kiun Jatay Hain ?? 
Mummy Yeh Jo Log Apko Keeray Aur Janwar Lagtey Hain Yeh Khuda K Nazdeek Kia Hain Kaash Apko B Pata Chal Jata .”

Shehr e Zaat




_________________________



" Mummy! Maine uss se kaha, Main bhi tum se muhabbat karti hun. Har cheez se ziada Muhabbat. Uss ne kaha mujhe iss ki parwah nahin.

Agar main Allah se ye kehti toh kia woh bhi yahi jawaab deta ?

Maine uss se kaha, Maine kon c ghalti ki hai ? Uss ne kaha, Main nahin jaanta.

Main Allah se yeh poochti toh kia woh mere sawaal ka jawaab naa deta ?

Maine uss se kaha, Maine pichlay 3 saal mai tumhare liye kia nahin kiya ? Uss ne kaha, Mujhay uski parwah nahin. 

Agar main Allah k liye kuch karti toh kia Allah ko bhi parwah naa hoti ?

Maine uss se kaha, Maine pichlay 3 saal waise zindagi guzaari jaisi tum chaahty thay. Uss ne kaha, Main kia karun? 

Agar main 3 saal Allah ki marzi k Mutaabiq zindagi guzarti toh kia Allah ye kehta ?

Maine uss se kaha, Tum mujhay btao main kia karun k tum khush ho jao, Mujhse muhabbat karny lago. Uss ne kaha, Mujhay tumhari zarurat he nahin hai. Mujhay tumhari koi baat, koi cheez khush nahin kar sakti.

Main Allah se ye kehti toh kia woh bhi yehi kehta ?

Mummy Allah or Insaan main yehi farq hai. Allah thokkar nahin maarta aur insaan bas thokar hee marta hai. "



—  Umera Ahmed, Shehr-e-Zaat



_______________________________________________________







9 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. Bhot khoobsurat. Our true love is Allah and our whole life we waste on useless things.

    ReplyDelete
  3. Whenever I read these dialogues I start crying non stop!!! Allah loves us so much and we even don't care for His love

    ReplyDelete
  4. Bohat aala.. alfaaz nahin hain kehne ko.. lajawaab

    ReplyDelete