" Salaar kuch kahay baghair uth khara hua. Woh Khaana Kaaba kay darwazay ko dekh raha tha. Bilaashuba ussay zameen per utaari janay wali Suaaleh aur Behtareen auraton mai say aik bakhsh di gayi thi.
Woh aurat jis kay liye 9 saal uss nay her waqt aur her jagah dua ki thi. Kiya Salaar Sikandar kay liye naimaton ki koi had reh gayi thi aur ab jab woh aurat uss kay saath thi tu ussay ahsaas horaha tha kay woh kesi bhaari zimmedaari apnay liye lay betha tha.
Ussay uss aurat ka kafeel bana diya gaya tha,jo naiki aur Paarisaayi mai uss say kahin aagay thi.
Imama uth khari hui.
Salaar nay kuch kahay baghair uss ka haath thaam kar wahan say janay kay liye qadam barha diye.
Ussay uss aurat ki hifazat sonp di gayi thi, jiss nay apnay ikhtiyaar ki zindagi ko uss ki tarah kisi alaaish aur ghalazat mai nahi duboya, jis nay apni tamam Jismaani aur jazbaati kamzoriyon kay bawajood apni rooh aur jism ko uss ki tarah nafs ki bhaint nahi charhaya.
Uss ka haath thaamay qadam barhatay hue ussay Zindagi mai pehli baar Paarisaayi aur Taqwaa ka matlab samajh mai araha tha.
Woh uss say chand qadam peechay thi. Woh Haram Paak mai bethay aur chaltay loagon ki qataaron kay darmiyaan say guzar rahay thay. Woh apni poori zindagi ko jesay Film ki kisi screen per chalta dekh raha tha aur ussay betahaasha khoaf mehsoos horaha tha. Gunaahon ki aik lambi fehrist kay bawajood uss nay sirf Allah ka karam dekha tha aur uss kay bawajood uss waqt koi uss say ziada Allah kay ghazab say khoaf nahi kha raha tha.
Woh shakhs jis ka I.Q Level 150+ tha aur jo Photographic memory rakhta tha 9 saal mai jaan gaya tha kay in donon cheezon kay saath bhi zindagi kay bohat saray muqamaat per Insaan kisi andhay ki tarah thokar kha kar gir sakta tha. Woh bhi gira tha bohat baar..... Bohat muqaamat per... Tab uss ka I.Q Level uss kay kaam aya tha na uss ki Photographic memory.
Saath chalti hui larki woh donon cheezain nahi rakhti thi. Uss ki mutthi mai hidaayat ka aik nannha sa jugnoo tha aur woh uss jugnoo say umadti roshni kay sahaaray zindagi kay her ghup andheray say koi thokar khaaye baghair guzar rahi thi. "
No comments:
Post a Comment