Tuesday, 26 August 2014

Peer e kamil ki talaash


"Har insaan ko zindagi main kabhi naa kabhi peer e kamil ki zarurat parti hai.
Kabhi naa kabhi insaani zindagi uss morr par aa kar khari ho jaati hai jab lagta hai  k humaray labon aur dil se nikalnay wali duayen be asar ho ayi hain.
Hamaray sajday or phailay huay haath rehmaton aur naimaton ko apni taraf morr nahin paa rahay.
Youn lagta hai jaise koi taaluq tha jo toot gaya hai.

Phir aadmi chaahta hai k us k liye koi aur haath uthaye,
kisi aur k labb us ki dua Allah tak pohnchaye,
koi aur Allah k samnay girgiraye,
koi aisa shakhs jis ki duayen qabool hoti hon,
Jiss k labon se nikalnay wali iltejayen us k apnay lafzon ki tarha morr naa dee jaati hon.

Phir insaan Peer e Kamil ki talaash shuru karta hai.
Bhaagta phirta hai dunya mai kisi aise shakhs ki talaash mai jo kaamliyat ki kisi naa kisi seerhi par khara ho."

No comments:

Post a Comment