Tuesday, 19 August 2014

A ghazal from peer-e-Kaamil

Meri zindagi tau firaq hai
Woh azal se dil mein makee’n sahi
Woh nigah-e-shauq se door hain
Rag-e-jaan se lakh qareeb sahi
Humein jaan deni hai aik din
Woh kisi tarhan, woh kahin sahi
Sar-e-tor ho, sar-e-hashar ho
Humein intezar qabool hai
woh kabhi milein, woh kahin milein
woh kabhi sahi, woh kahin sahi
Hua un pe jo mera bas nahi
Ke yeh aashiqui hai, hawas nahi
Main unhi ka tha, unhi ka hoon
Woh mere nahi, tau nahi sahi
jo ho faisla woh sunaiye,
isay hashar par na uthaye
Jo karein gein ap sitam wahan
Woh abhi sahi, woh yahin sahi
Ghum e zindagi se faraar kya,
Yeh sakoon kya, yeh qarar kya
Ghum e zindagi bhi tau hai zindagi
Jo nahi chain tau nahi sahi
usay dekhne ki jo lau lagi
Tau dekh he lein gein hum, Naseer
Woh hazaar aankh se dur ho
Woh hazaar parda nasheen sahi


- A ghazal from peer-e-Kaamil.

1 comment: