Saturday, 30 August 2014

Salaar Sikandar


Salaar Sikandar


" Tumhara naam kia hai ?"

"Pata nahin."

"Maa baap ne kia rakha tha?"

"Ye unhi se poochen."






Khamoshi ..

"Log kis naam se pukaartay hain tumhain?"

"Larkay ya larkiyan?"

"Larkay"

"Bohat saaray naam lete hain."

"Zida tar konsa naam pukaarty hain?"

"Daredevil."

Khamoshi ...

"Aur larkiyan ?"

"Woh bhi boht saaray naam leti hain."

"Ziada tar kis naam se pukaarti hain?"

"Yeh main nahin bata sakta. Its too personal."

Gehri khamoshi. 
Taweel saans... Phir khamoshi.

Chot




Uss ne zindagi main pehli baar chot khayii thi aur zindagi main pehli baar parnay wali chot toh baray baron ko rula deti hai.



Woh UNICEF ki team k sath chartered taiyaaron mai safar karte huay apni zindagi k baray mai sochta ..
Uss ne zindagi main aise kon se kaarnamay sar anjaam diye thay k usay woh pur-aasae'sh zindagi dee gayi thi jo woh guzaar raha tha.

Aur un logo se kia gunnah huay thay k woh zindagi ki tamam buniyaadi zaruriyaat se mehroom sirf zinda rehne ki khwahish mai khoraak k unn packets k peechay bhaagtay phirtay hain.


Thursday, 28 August 2014

Hum kia hain ?


" Hum kya hain

Hmari Muhabatain kya hain ?
kya chahtay hain ..
kya paatay hain.. "

-Umera Ahmad (Peer-e-Kamil) 

"Khwaahish toh Allah insaan ko woh day deta hai k Maujazon k ilawa koi cheez jisay poora kar hee nahin sakti."

-Peer e kamil-

Salaar ki Dua

Mein Nabi Hota to Nabiyon Jesi Dua kerta,
Magar mein to aam Bashar hun or Gunah-Gaar Bashar! 
Meri khawahishat, Meri Arzuain.. sab aam hain! 

Yahan kharay ho ker kabhi koi kisi Aurat k liye nai Roya hoga! Meri zilat or Pasti ki is se ziada inteha kya ho gi k mein yahan khara... Haram paak may khara, aik Aurat k liye Girgira raha hun! Aagar mujha naa apnay dil pe Ikhtiyar hai naa apnay Ansuon per! 

yeh mein nai tha jis ne us Aurat ko apnay dil may jagah di, 

yeh tu nay kiya!
kyun meray dil mai us aurat k liye itni muhabbat daal di k mein teray samnay khara bhi usko yaad ker raha hun? 
kyun mujhy is qadar baybus ker dia k mujhy apnay wujood per bhi koi Ikhtiyaar nai raha? 

Mein wo Bashar hun jisay tu ne In tamam kamzoriyon k sath banaya! 
Mein wo bashar hun jisay teray Siwa koi Raasta dhikhanay wala nahi or wo Aurat ... wo meri zindagi k her raastay pay khari hai! 
Mujhay kahin jaanay kahin pohonchnay nahi de rahi yaa to uski Muhabbat ko is tarah meray dil se nikaal de k mujhay kabhi uska khayal tak naa aye, ya phir usay mjhe day de!

Woh nahin milay gi to mein saari zindagi us k liye rota rahun gah! wo mil jaye gi to teray ilawa mein kisi k liye ansu nahi baha sakun gah! 
Meray ansuon ko khalis honay day! 


Mein yahan khara tujh say Paak Auraton may say aik ko mangta hun!
Mein Imama Hashim ko mangta hun..

Mein apni Nasal k liye us Aurat ko maangta hun jis nay aap k Paighambar  (S.A.W) ki muhabbat mai kisi ko shareek nai kia! jis nay un k liye apni zindagi ki tamam Asae'shaat ko chor dia! 

Ager meine apni zindagi may kbhi koi Naiki ki hai, to mujhay us k iwiz Imama Hashim da da! 
Tu chahay to yeh ab bhi ho skta hai! ab bhi mumkin hai! 

Mujhay is Azmae'sh se nikaal da..
Meri zindagi ko asaan ker da..
Aath saal se mein jis takleef may hun, mujhay is se Rihaee day de.

Salaar Sikandar per aik baar phir Reham ker, wohi jo teri sifaat may Afzal Tareen hai..

-Umera Ahmad- Peer e kamil.

Waada


"Mujhay tum se kitni muhabbat ho gi ye main nahin jaanti. 
Dil par mera akhtiyaar nahin hai.
Magar mai jitni zindagi tumhare sath guzaarun gi, Tumhari wafadaar or farman-bardaar rahoon gi.
Yeh mere Akhtiyaar main hai. 
Main zindagi k har mushkil marhalay , 
Har aazmaish main tumhare sath rahoon gi. 
Main achay dinon main tumhari zindagi main aayi hun,
Main buray dinon mai bhi tumhain akela nahin choroon gi."


-Imama Hashim